sang ki zad pe sahi aaina-KHane mere
sang kī zad pe sahī ā.ina-ḳhāne mere
hargiz āsān nahīñ 'aks miTāne mere
mujh se milte hī nahīñ yaar purāne mere
kyā unheñ bhuul ga.e saare Thikāne mere
vasl kī shab jo khulīñ band-e-qabā kī girheñ
hosh sab chhīn liye hosh-rubā ne mere
jism kī ḳhaak meñ madfan thā ḳhazīna dil kā
koī aayā hī nahīñ dil ko churāne mere
chhoḌ baiThe ho to ab chhoḌ do pīchhā merā
yaad kyoñ aate ho ab dil ko dukhāne mere
haañ kabhī phuul yā ḳhushbū bhare ḳhat hote the
ab to rahtī haiñ kitābeñ hī sirhāne mere
jaane kis sehr se soyā hai muqaddar yā-rab
bhej qismat kī parī baḳht jagāne mere
us ne chhoḌā na kabhī tarz-e-taġhāful ko 'sahāb'
jis se mansūb hue saare fasāne mere
sang ki zad pe sahi aaina-KHane mere
hargiz aasan nahin 'aks miTane mere
mujh se milte hi nahin yar purane mere
kya unhen bhul gae sare Thikane mere
wasl ki shab jo khulin band-e-qaba ki girhen
hosh sab chhin liye hosh-ruba ne mere
jism ki KHak mein madfan tha KHazina dil ka
koi aaya hi nahin dil ko churane mere
chhoD baiThe ho to ab chhoD do pichha mera
yaad kyon aate ho ab dil ko dukhane mere
han kabhi phul ya KHushbu bhare KHat hote the
ab to rahti hain kitaben hi sirhane mere
jaane kis sehr se soya hai muqaddar ya-rab
bhej qismat ki pari baKHt jagane mere
us ne chhoDa na kabhi tarz-e-taghaful ko 'sahab'
jis se mansub hue sare fasane mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.