sanware aaKHirat ya zindagi ko
Interesting Fact
1968
sañvāre āḳhirat yā zindagī ko
kahāñ itnī bhī mohlat aadmī ko
bujhā.ī āñsuoñ ne ātish-e-ġham
magar bhaḌkā diyā hai bekalī ko
bharam khul jā.egā dānā.iyoñ kā
pukāro to zarā dīvāngī ko
jo sar jhuktā nahīñ hai dil to jhuk jaa.e
faqat itnī talab hai bandagī ko
jo dil se phuuT kar āñkhoñ meñ chamke
taraste rah ga.e ham is hañsī ko
sanware aaKHirat ya zindagi ko
kahan itni bhi mohlat aadmi ko
bujhai aansuon ne aatish-e-gham
magar bhaDka diya hai bekali ko
bharam khul jaega danaiyon ka
pukaro to zara diwangi ko
jo sar jhukta nahin hai dil to jhuk jae
faqat itni talab hai bandagi ko
jo dil se phuT kar aankhon mein chamke
taraste rah gae hum is hansi ko
- Book : Harf-e-wafa (Pg. 85)
- Author : Parveen Fana Sayyad
- Publication : Maktaba Funoon, Lahore (1974)
- Edition : 1974
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.