sar-ba-zanu koi fankar alag baiTha hai
sar-ba-zānū koī fankār alag baiThā hai
maiñ yahāñ huuñ mirā kirdār alag baiThā hai
shahr meñ nāma-e-taqdīs likhā jā.egā
mutma.in huuñ mirā inkār alag baiThā hai
terī tārīf meñ sab bol rahe haiñ lekin
is pe hairat hai ki me.aar alag baiThā hai
ġhair-mahfūz haiñ dīvār banāne vaale
aur shahanshah sar-e-mīnār alag baiThā hai
ab dabāoge to patthar se nikal aa.egī
ek āvāz kā haqdār alag baiThā hai
sar-ba-zanu koi fankar alag baiTha hai
main yahan hun mera kirdar alag baiTha hai
shahr mein nama-e-taqdis likha jaega
mutmain hun mera inkar alag baiTha hai
teri tarif mein sab bol rahe hain lekin
is pe hairat hai ki mear alag baiTha hai
ghair-mahfuz hain diwar banane wale
aur shahanshah sar-e-minar alag baiTha hai
ab dabaoge to patthar se nikal aaegi
ek aawaz ka haqdar alag baiTha hai
- Book : Chaa.ndii kaa varaq (Pg. 34)
- Author : Ahmad Kamal Parvaazii
- Publication : Surkhawab Publications Ujjain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.