Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sar chhupane ke liye chhat nahin di ja sakti

Khalida Uzma

sar chhupane ke liye chhat nahin di ja sakti

Khalida Uzma

sar chhupāne ke liye chhat nahīñ saktī

har kisī ko ye sahūlat nahīñ saktī

saañs lene ke liye sab ko mayassar hai havā

is se baḌh kar to ri.āyat nahīñ saktī

tum ko raas aa.e na aa.e mirī bastī fazā

yaañ kisī jaañ zamānat nahīñ saktī

ek muddat ke shab o roz lahū hote haiñ

tasht meñ rakh ke qayādat nahīñ saktī

ziist aur maut āḳhir ye fasāna kyā hai

umr kyuuñ hasb-e-zarūrat nahīñ saktī

in darīchoñ se koī mauja-e-ḳhush-kun aa.e

rāhat-e-jāñ ye ijāzat nahīñ saktī

soz-e-dil tohfa-e-qudrat hai vagarna 'uzma'

barf ko narm harārat nahīñ saktī

sar chhupane ke liye chhat nahin di ja sakti

har kisi ko ye sahulat nahin di ja sakti

sans lene ke liye sab ko mayassar hai hawa

is se baDh kar to riayat nahin di ja sakti

tum ko ras aae na aae meri basti ki faza

yan kisi jaan ki zamanat nahin di ja sakti

ek muddat ke shab o roz lahu hote hain

tasht mein rakh ke qayaadat nahin di ja sakti

zist aur maut ka aaKHir ye fasana kya hai

umr kyun hasb-e-zarurat nahin di ja sakti

in darichon se koi mauja-e-KHush-kun aae

rahat-e-jaan ye ijazat nahin di ja sakti

soz-e-dil tohfa-e-qudrat hai wagarna 'uzma'

barf ko narm hararat nahin di ja sakti

Source :
  • Book : Sitara Pas e Mizgaan (Pg. 42)
  • Author : Khalida Uzma
  • Publication : Dunya e Adab, Karachi (2011)
  • Edition : 2011
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now