sar-e-diwar chunwai gai hun
sar-e-dīvār chunvā.ī ga.ī huuñ
kabhī hīroñ meñ tulvā.ī ga.ī huuñ
maiñ aurat thī sharīk-e-taḳht kab thī
so malika kah ke bulvā.ī ga.ī huuñ
mire paikar kā thā paiham taqāza
maiñ har ik gaam bahkā.ī ga.ī huuñ
muqaddas haiñ sabhī rishte jo mere
to kyuuñ bāzār meñ laa.ī ga.ī huuñ
mirī har soch par pahre lage haiñ
kahāñ zī-aql kahlā.ī ga.ī huuñ
banā kar aa.ina 'afroz' 'rizvī'
hadaf patthar kā Thahrā.ī ga.ī huuñ
sar-e-diwar chunwai gai hun
kabhi hiron mein tulwai gai hun
main aurat thi sharik-e-taKHt kab thi
so malika kah ke bulwai gai hun
mere paikar ka tha paiham taqaza
main har ek gam bahkai gai hun
muqaddas hain sabhi rishte jo mere
to kyun bazar mein lai gai hun
meri har soch par pahre lage hain
kahan zi-aql kahlai gai hun
bana kar aaina 'afroz' 'rizwi'
hadaf patthar ka Thahrai gai hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.