sar-e-rah ek hadisa ho gaya
sar-e-rāh ik hādisa ho gayā
achānak tirā sāmnā ho gayā
ḳhud apnī bhī ab yaad aatī nahīñ
tirī yaad kā haq adā ho gayā
masīhā.iyāñ dekhtī rah ga.iiñ
tirā dard baḌh kar davā ho gayā
kaTegī kis ummīd par zindagī
agar terā ġham bhī judā ho gayā
qarīb aa ga.iiñ ḳhud-baḳhud manzileñ
tirā naqsh-e-pā rahnumā ho gayā
unheñ dekh kar dekhtī rah ga.iiñ
ḳhudā jaane āñkhoñ ko kyā ho gayā
'rishī' zindagī zindagī ban ga.ī
dil apnā alam-āshnā ho gayā
sar-e-rah ek hadisa ho gaya
achanak tera samna ho gaya
KHud apni bhi ab yaad aati nahin
teri yaad ka haq ada ho gaya
masihaiyan dekhti rah gain
tera dard baDh kar dawa ho gaya
kaTegi kis ummid par zindagi
agar tera gham bhi juda ho gaya
qarib aa gain KHud-baKHud manzilen
tera naqsh-e-pa rahnuma ho gaya
unhen dekh kar dekhti rah gain
KHuda jaane aankhon ko kya ho gaya
'rishi' zindagi zindagi ban gai
dil apna alam-ashna ho gaya
- Book : Nuquush-e-daaG (Pg. 240)
- Author : Sahir Hoshiyarpuri
- Publication : Haryana Urdu Acadami (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.