sar-e-rāhe kabhī-kabhār sahī
ras-bharī ik nigāh-e-yār sahī
ham to zinda haiñ tere va.adoñ par
tū nahīñ terā intizār sahī
ham lagā deñge ishq kī baazī
na mile jiit apnī haar sahī
ham ko hai ek sohnī kī talāsh
pas-e-tūfāñ chanāb paar sahī
apnā mansab nibhā ki tū hai ḳhudā
ham haiñ bande gunāhgār sahī
sar-e-rahe kabhi-kabhaar sahi
ras-bhari ek nigah-e-yar sahi
hum to zinda hain tere wadon par
tu nahin tera intizar sahi
hum laga denge ishq ki bazi
na mile jit apni haar sahi
hum ko hai ek sohni ki talash
pas-e-tufan chanab par sahi
apna mansab nibha ki tu hai KHuda
hum hain bande gunahgar sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.