sar-e-sham wo kabhi aaen to
sar-e-shām vo kabhī aa.eñ to
mire dil kī sham.a jalā.eñ to
jinheñ ham kabhī na bhulā sake
kabhī yaad un ko bhī aa.eñ to
mire ġham-gusār bhī so ga.e
chalo phir se un ko jagā.eñ to
mujhe āñsuoñ se bhī pyaar hai
zarā pyaar se vo satā.eñ to
dil-e-'naġhma' un pe nisār hai
kabhī vo nigāh milā.eñ to
sar-e-sham wo kabhi aaen to
mere dil ki shama jalaen to
jinhen hum kabhi na bhula sake
kabhi yaad un ko bhi aaen to
mere gham-gusar bhi so gae
chalo phir se un ko jagaen to
mujhe aansuon se bhi pyar hai
zara pyar se wo sataen to
dil-e-'naghma' un pe nisar hai
kabhi wo nigah milaen to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.