sar-e-waraq pe likha intiqam hai shayad
sar-e-varaq pe likhā intiqām hai shāyad
isī bayāz meñ merā bhī naam hai shāyad
kahā jo maiñ ne ki kuchh ehtijāj hai barpā
to bole zill-e-ilāhī avaam hai shāyad
uThe jo haath duā ko badal ga.e manzar
ḳhudā se merā yaqīñ ham-kalām hai shāyad
maiñ aa.uuñ tum ko na dekhūñ to phir palaT jā.ūñ
tumhārī samt se ye intizām hai shāyad
ye āb-o-gil ye shajar āsmān ye sūraj
kisī ke aane kā ye ehtimām hai shāyad
jamī huī hai nazar aaj tum pe saaqī kī
tumhāre hisse kā gardish meñ jaam hai shāyad
namāz-e-fazr meñ masjid meñ kyuuñ hai sannāTā
namāzī koī nahīñ bas imaam hai shāyad
sar-e-waraq pe likha intiqam hai shayad
isi bayaz mein mera bhi nam hai shayad
kaha jo main ne ki kuchh ehtijaj hai barpa
to bole zill-e-ilahi awam hai shayad
uThe jo hath dua ko badal gae manzar
KHuda se mera yaqin ham-kalam hai shayad
main aaun tum ko na dekhun to phir palaT jaun
tumhaari samt se ye intizam hai shayad
ye aab-o-gil ye shajar aasman ye suraj
kisi ke aane ka ye ehtimam hai shayad
jami hui hai nazar aaj tum pe saqi ki
tumhaare hisse ka gardish mein jam hai shayad
namaz-e-fazr mein masjid mein kyun hai sannaTa
namazi koi nahin bas imam hai shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.