sar jhukaoge to patthar devta ho jaega
sar jhukāoge to patthar devtā ho jā.egā
itnā mat chāho use vo bevafā ho jā.egā
ham bhī dariyā haiñ hameñ apnā hunar mālūm hai
jis taraf bhī chal paḌeñge rāsta ho jā.egā
kitnī sachchā.ī se mujh se zindagī ne kah diyā
tū nahīñ merā to koī dūsrā ho jā.egā
maiñ ḳhudā kā naam le kar pī rahā huuñ dosto
zahr bhī is meñ agar hogā davā ho jā.egā
sab usī ke haiñ havā ḳhushbū zamīn o āsmāñ
maiñ jahāñ bhī jā.ūñgā us ko pata ho jā.egā
sar jhukaoge to patthar dewta ho jaega
itna mat chaho use wo bewafa ho jaega
hum bhi dariya hain hamein apna hunar malum hai
jis taraf bhi chal paDenge rasta ho jaega
kitni sachchai se mujh se zindagi ne kah diya
tu nahin mera to koi dusra ho jaega
main KHuda ka nam le kar pi raha hun dosto
zahr bhi is mein agar hoga dawa ho jaega
sab usi ke hain hawa KHushbu zamin o aasman
main jahan bhi jaunga us ko pata ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.