sar jo rahta hai mera rone se aksar bhaari
sar jo rahta hai mera rone se aksar bhaari
Zain-ul-Abideen Khan Arif
MORE BYZain-ul-Abideen Khan Arif
sar jo rahtā hai mirā rone se aksar bhārī
paañv par rakhtā nahīñ un ke samajh kar bhārī
be-takalluf harakat kuchh jo falak kartā hai
āj-kal mujh pe sitāra hai muqarrar bhārī
ġhair ke sāmne yuuñ mujh pe yakāyak na uThe
dast-e-nāzuk meñ tere kaash ho zevar bhārī
aur kuchh haiñ tire dil-band ke tevar ba-ḳhudā
aaj kī raat har ik but ko hai aazar bhārī
apne ghar meñ hai mujhe roz musībat 'ārif'
tiin din gor meñ hote haiñ muqarrar bhārī
sar jo rahta hai mera rone se aksar bhaari
panw par rakhta nahin un ke samajh kar bhaari
be-takalluf harakat kuchh jo falak karta hai
aaj-kal mujh pe sitara hai muqarrar bhaari
ghair ke samne yun mujh pe yakayak na uThe
dast-e-nazuk mein tere kash ho zewar bhaari
aur kuchh hain tere dil-band ke tewar ba-KHuda
aaj ki raat har ek but ko hai aazar bhaari
apne ghar mein hai mujhe roz musibat 'arif'
tin din gor mein hote hain muqarrar bhaari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.