sar mein jab ishq ka sauda na raha
sar meñ jab ishq kā saudā na rahā
kyā kaheñ ziist meñ kyā kyā na rahā
ab to duniyā bhī vo duniyā na rahī
ab tirā dhyān bhī utnā na rahā
qissa-e-shauq sunā.ūñ kis ko
rāzdārī kā zamānā na rahā
zindagī jis kī tamannā meñ kaTī
vo mire haal se begāna rahā
Dere Daale haiñ ḳhizāñ ne chau-des
gul to gul baaġh meñ kāñTā na rahā
din dahāḌe ye lahū kī holī
ḳhalq ko ḳhauf ḳhudā kā na rahā
ab to so jaao sitam ke maaro
āsmāñ par koī taarā na rahā
sar mein jab ishq ka sauda na raha
kya kahen zist mein kya kya na raha
ab to duniya bhi wo duniya na rahi
ab tera dhyan bhi utna na raha
qissa-e-shauq sunaun kis ko
raazdari ka zamana na raha
zindagi jis ki tamanna mein kaTi
wo mere haal se begana raha
Dere Dale hain KHizan ne chau-des
gul to gul bagh mein kanTa na raha
din dahaDe ye lahu ki holi
KHalq ko KHauf KHuda ka na raha
ab to so jao sitam ke maro
aasman par koi tara na raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.