sar na sajde se uTha taKHir par taKHir kar
sar na sajde se uThā tāḳhīr par tāḳhīr kar
zarre jo taht-e-jabīñ aa.e unheñ iksīr kar
banda-e-rab ban ke raushan apnī tū taqdīr kar
ālam-e-kun hai tirā qabze meñ ye jāgīr kar
ashk-bārī hubb-e-ahamad uns-e-maḳhlūq-e-jahāñ
ye haiñ ajzā-e-salāsa in se dil ta.amīr kar
dāman-e-hastī meñ tere jo haiñ zarre ḳhaak ke
zarb-e-allāh-hū se is miTTī ko pur-tanvīr kar
is tarah se kuchh na kuchh shāyad ki halkā bojh ho
iztirāb-e-dil 'nazar' apnā tū ālamgīr kar
sar na sajde se uTha taKHir par taKHir kar
zarre jo taht-e-jabin aae unhen iksir kar
banda-e-rab ban ke raushan apni tu taqdir kar
aalam-e-kun hai tera qabze mein ye jagir kar
ashk-bari hubb-e-ahamad uns-e-maKHluq-e-jahan
ye hain ajza-e-salasa in se dil tamir kar
daman-e-hasti mein tere jo hain zarre KHak ke
zarb-e-allah-hu se is miTTi ko pur-tanwir kar
is tarah se kuchh na kuchh shayad ki halka bojh ho
iztirab-e-dil 'nazar' apna tu aalamgir kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.