Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sar par thi kaDi dhup bas itna hi nahin tha

Manzoor Hashmi

sar par thi kaDi dhup bas itna hi nahin tha

Manzoor Hashmi

MORE BYManzoor Hashmi

    sar par thī kaḌī dhuup bas itnā nahīñ thā

    us shahr ke peḌoñ meñ to saayā nahīñ thā

    paanī meñ zarā der ko halchal to huī thī

    phir yuuñ thā ki jaise koī Duubā nahīñ thā

    likkhe the safar paañv meñ kis tarah Thaharte

    aur ye bhī ki tum ne to pukārā nahīñ thā

    apnī nigāhoñ pe bharosa na rahegā

    tum itnā badal jāoge sochā nahīñ thā

    kanda the mire zehn pe kyuuñ us ke ḳhad-o-ḳhāl

    chehra jo mirī aañkh ne dekhā nahīñ thā

    sar par thi kaDi dhup bas itna hi nahin tha

    us shahr ke peDon mein to saya hi nahin tha

    pani mein zara der ko halchal to hui thi

    phir yun tha ki jaise koi Duba hi nahin tha

    likkhe the safar panw mein kis tarah Thaharte

    aur ye bhi ki tum ne to pukara hi nahin tha

    apni hi nigahon pe bharosa na rahega

    tum itna badal jaoge socha hi nahin tha

    kanda the mere zehn pe kyun us ke KHad-o-KHal

    chehra jo meri aankh ne dekha hi nahin tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now