sar pe ek saeban to rahne de
sar pe ik sā.ebāñ to rahne de
jal gayā ghar dhuāñ to rahne de
sochtā huuñ ki maiñ bhī zinda huuñ
mujh ko itnā gumāñ to rahne de
ruḳh havā kā badal hī jā.egā
bādbāñ pur-fishāñ to rahne de
gard itnī uḌā na rāhoñ meñ
paañv ke kuchh nishāñ to rahne de
aañkh se chhin ga.e sabhī manzar
lab pe ik dāstāñ to rahne de
manziloñ kā patā mile na mile
shāmil-e-kārvāñ to rahne de
sar pe ek saeban to rahne de
jal gaya ghar dhuan to rahne de
sochta hun ki main bhi zinda hun
mujh ko itna guman to rahne de
ruKH hawa ka badal hi jaega
baadban pur-fishan to rahne de
gard itni uDa na rahon mein
panw ke kuchh nishan to rahne de
aankh se chhin gae sabhi manzar
lab pe ek dastan to rahne de
manzilon ka pata mile na mile
shamil-e-karwan to rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.