sar pe saya sa dast-e-dua yaad hai
sar pe saaya sā dast-e-duā yaad hai
apne āñgan meñ ik peḌ thā yaad hai
jis meñ apnī parindoñ se tashbīh thī
tum ko schōl kī vo duā yaad hai
aisā lagtā hai har imtihāñ ke liye
zindagī ko hamārā pata yaad hai
mai-kade meñ azaañ sun ke royā bahut
is sharābī ko dil se ḳhudā yaad hai
maiñ purānī havelī kā parda mujhe
kuchh kahā yaad hai kuchh sunā yaad hai
sar pe saya sa dast-e-dua yaad hai
apne aangan mein ek peD tha yaad hai
jis mein apni parindon se tashbih thi
tum ko school ki wo dua yaad hai
aisa lagta hai har imtihan ke liye
zindagi ko hamara pata yaad hai
mai-kade mein azan sun ke roya bahut
is sharabi ko dil se KHuda yaad hai
main purani haweli ka parda mujhe
kuchh kaha yaad hai kuchh suna yaad hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.