sar se pa tak dard pahan kar baiThe hain
sar se pā tak dard pahan kar baiThe haiñ
nākāmī kī gard pahan kar baiThe haiñ
ḳhush-hālī ke jo libās bheje tum ne
ghar ke saare fard pahan kar baiThe haiñ
hariyālī ke intizār meñ saare peḌ
tan par kapḌe zard pahan kar baiThe haiñ
agle scene kī tayyārī meñ sab kirdār
afsāne kā dard pahan kar baiThe haiñ
lahje meñ garmāhaT aur na jazboñ meñ
ham sab mausam sard pahan kar baiThe haiñ
sar se pa tak dard pahan kar baiThe hain
nakaami ki gard pahan kar baiThe hain
KHush-haali ke jo libas bheje tum ne
ghar ke sare fard pahan kar baiThe hain
hariyali ke intizar mein sare peD
tan par kapDe zard pahan kar baiThe hain
agle scene ki tayyari mein sab kirdar
afsane ka dard pahan kar baiThe hain
lahje mein garmahaT aur na jazbon mein
hum sab mausam sard pahan kar baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.