sar-ta-pa hairat mein gum ho jaega
sar-tā-pā hairat meñ gum ho jā.egā
tū bhī kyā hairat meñ gum ho jā.egā
aadmī ban jā.egā taḳhlīq-kār
aur ḳhudā hairat meñ gum ho jā.egā
dekh kar mujh ā.īna-rū kā jamāl
ā.īna hairat meñ gum ho jā.egā
laash ko vāris na pahchāneñge aur
sāneha hairat meñ gum ho jā.egā
raqs meñ hoñge dar-o-dīvār-o-bām
taḳhliya hairat meñ gum ho jā.egā
manzileñ ma.adūm ho jā.eñgī sab
rāsta hairat meñ gum ho jā.egā
aql se bhī māvarā sochūñngī maiñ
falsafa hairat meñ gum ho jā.egā
kyā se kyā ashkāl badleñgī yahāñ
kyā se kyā hairat meñ gum ho jā.egā
dekhnā ye ālam-e-ījād bhī
'rāshida' hairat meñ gum ho jā.egā
sar-ta-pa hairat mein gum ho jaega
tu bhi kya hairat mein gum ho jaega
aadmi ban jaega taKHliq-kar
aur KHuda hairat mein gum ho jaega
dekh kar mujh aaina-ru ka jamal
aaina hairat mein gum ho jaega
lash ko waris na pahchanenge aur
saneha hairat mein gum ho jaega
raqs mein honge dar-o-diwar-o-baam
taKHliya hairat mein gum ho jaega
manzilen madum ho jaengi sab
rasta hairat mein gum ho jaega
aql se bhi mawara sochunngi main
falsafa hairat mein gum ho jaega
kya se kya ashkal badlengi yahan
kya se kya hairat mein gum ho jaega
dekhna ye aalam-e-ijad bhi
'rashida' hairat mein gum ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.