sarab-e-sahra mein pani talash karta hai
sarāb-e-sahrā meñ paanī talāsh kartā hai
vo daldaloñ meñ ravānī talāsh kartā hai
har ek zarre se pahchān rab kī hotī hai
vo phir bhī us kī nishānī talāsh kartā hai
use yaqīn hai apne ḳhudā kī rahmat par
jo tapte sahrā meñ paanī talāsh kartā hai
kitāb-e-dil ko samajhnā muhāl hai us kā
vo chehrā chehrā ma.ānī talāsh kartā hai
na.e ġhamoñ ke añdheroñ se jañg hai us kī
bujhe diyoñ kī javānī talāsh kartā hai
hoñ raaja rānī, hoñ lashkar, hoñ hāthī ghoḌe sab
vo har kahānī meñ naanī talāsh kartā hai
bahut sharīf hai to 'chāñd' jā ke sansad meñ
'kabir-das' kī vaanī talāsh kartā hai
sarab-e-sahra mein pani talash karta hai
wo daldalon mein rawani talash karta hai
har ek zarre se pahchan rab ki hoti hai
wo phir bhi us ki nishani talash karta hai
use yaqin hai apne KHuda ki rahmat par
jo tapte sahra mein pani talash karta hai
kitab-e-dil ko samajhna muhaal hai us ka
wo chehra chehra maani talash karta hai
nae ghamon ke andheron se jang hai us ki
bujhe diyon ki jawani talash karta hai
hon raja rani, hon lashkar, hon hathi ghoDe sab
wo har kahani mein nani talash karta hai
bahut sharif hai to 'chand' ja ke sansad mein
'kabir-das' ki wani talash karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.