sarapa husn-e-samdhan goya gulshan ki kiyari hai
sarāpā husn-e-samdhan goyā gulshan kī kiyārī hai
parī bhī ab to baazī husn meñ samdhan se maarī hai
khiñchī kañghī guñdhī choTī jamī paTTī lagā kājal
kamāñ-abrū nazar jaadū nigah har ik dulārī hai
jabīñ mahtāb āñkheñ shoḳh shīrīñ lab guhar dandāñ
badan motī dahan ġhunche adā hañsne kī pyārī hai
nayā kam-ḳhvāb kā lahñgā jhamakte taash kī añgiyā
kucheñ tasvīr sī jin pe lagā goTā kanārī hai
mulā.im peT maḳhmal sā kalī sī naaf kī sūrat
uThā siina safā peḌū ajab joban kī naarī hai
surīñ nāzuk kamar patlī ḳhat-e-gulzār ruumā dil
kahūñ kyā aage ab is ke maqām-e-parda-dārī hai
laTaktī chaal madh-mātī chale bichchhoñ ko jhankātī
adā meñ dil liye jaatī ajab samdhan hamārī hai
bhare joban pe itrātī jhamak añgiyā kī dikhlātī
kamar lahañge se bal khātī laTak ghūñghaT kī bhārī hai
sarapa husn-e-samdhan goya gulshan ki kiyari hai
pari bhi ab to bazi husn mein samdhan se mari hai
khinchi kanghi gundhi choTi jami paTTi laga kajal
kaman-abru nazar jadu nigah har ek dulari hai
jabin mahtab aankhen shoKH shirin lab guhar dandan
badan moti dahan ghunche ada hansne ki pyari hai
naya kam-KHwab ka lahnga jhamakte tash ki angiya
kuchen taswir si jin pe laga goTa kanari hai
mulaim peT maKHmal sa kali si naf ki surat
uTha sina safa peDu ajab joban ki nari hai
surin nazuk kamar patli KHat-e-gulzar ruma dil
kahun kya aage ab is ke maqam-e-parda-dari hai
laTakti chaal madh-mati chale bichchhon ko jhankati
ada mein dil liye jati ajab samdhan hamari hai
bhare joban pe itraati jhamak angiya ki dikhlati
kamar lahange se bal khati laTak ghunghaT ki bhaari hai
- Deewan-e-Nazeer Akbarabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.