sard paD jae KHun pani na ho
sard paḌ jaa.e ḳhuun paanī na ho
merī tahzīb zāfrānī na ho
uñgliyāñ aap kī lahū merā
kaise tahrīr jāvedānī na ho
ḳhatm karnā ho ik ta.alluq bhī
aur dīvār bhī uThānī na ho
kah rahī haiñ vo ḳhush-suḳhan āñkheñ
ab koī baat bhī zabānī na ho
jis tarah tum ne iḳhtitām kiyā
ḳhatm aise koī kahānī na ho
nafratoñ kā ilaaj mumkin hai
gar ye bīmārī ḳhāndānī na ho
ham kabhī dil kabhī nazar meñ raheñ
lā-makānī ho be-makānī na ho
vo judā ho ke hai malūl bahut
ye kahīñ terī ḳhush-gumānī na ho
sard paD jae KHun pani na ho
meri tahzib zafrani na ho
ungliyan aap ki lahu mera
kaise tahrir jawedani na ho
KHatm karna ho ek talluq bhi
aur diwar bhi uThani na ho
kah rahi hain wo KHush-suKHan aankhen
ab koi baat bhi zabani na ho
jis tarah tum ne iKHtitam kiya
KHatm aise koi kahani na ho
nafraton ka ilaj mumkin hai
gar ye bimari KHandani na ho
hum kabhi dil kabhi nazar mein rahen
la-makani ho be-makani na ho
wo juda ho ke hai malul bahut
ye kahin teri KHush-gumani na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.