sardi bhi KHatm ho gai barsat bhi gai
sardī bhī ḳhatm ho ga.ī barsāt bhī ga.ī
aur is ke saath garmi-e-jazbāt bhī ga.ī
us ne mirī kitāb kā dībācha paḌh liyā
ab to kabhī kabhī kī mulāqāt bhī ga.ī
maiñ āsmāñ pe jā ke bhī taare na lā sakā
tum bhī ga.e udaas mirī baat bhī ga.ī
ham sūfiyoñ kā donoñ taraf se ziyāñ huā
irfān-e-zāt bhī na huā raat bhī ga.ī
milne lagī hai aam to piinā bhī kam huā
qillat ke ḳhatm hote hī buhtāt bhī ga.ī
sardi bhi KHatm ho gai barsat bhi gai
aur is ke sath garmi-e-jazbaat bhi gai
us ne meri kitab ka dibacha paDh liya
ab to kabhi kabhi ki mulaqat bhi gai
main aasman pe ja ke bhi tare na la saka
tum bhi gae udas meri baat bhi gai
hum sufiyon ka donon taraf se ziyan hua
irfan-e-zat bhi na hua raat bhi gai
milne lagi hai aam to pina bhi kam hua
qillat ke KHatm hote hi buhtat bhi gai
- Book : lafz magazine (Pg. february-2013 )
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.