sarma tha magar phir bhi wo din kitne baDe the
sarmā thā magar phir bhī vo din kitne baḌe the
us chāñd se jab pahle-pahal nain laḌe the
raste baḌe dushvār the aur kos kaḌe the
lekin tirī āvāz pe ham dauḌ paḌe the
bahtā thā mire paañv tale ret kā dariyā
aur dhuup ke neze mirī nas nas meñ gaḌe the
peḌoñ pe kabhī ham ne bhī pathrāv kiyā thā
shāḳhoñ se magar sūkhe hue paat jhaḌe the
ai 'rām' vo kis tarah lage paar musāfir
jin ke sar-o-sāmān ye miTTī ke ghaḌe the
sarma tha magar phir bhi wo din kitne baDe the
us chand se jab pahle-pahal nain laDe the
raste baDe dushwar the aur kos kaDe the
lekin teri aawaz pe hum dauD paDe the
bahta tha mere panw tale ret ka dariya
aur dhup ke neze meri nas nas mein gaDe the
peDon pe kabhi hum ne bhi pathraw kiya tha
shaKHon se magar sukhe hue pat jhaDe the
ai 'ram' wo kis tarah lage par musafir
jin ke sar-o-saman ye miTTi ke ghaDe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.