sarshaar hun sarshaar hai duniya mere aage
sarshār huuñ sarshār hai duniyā mire aage
kaunain hai ik larzish-e-sahbā mire aage
har najm hai ik āriz-e-raushan mire nazdīk
har zarra hai ik dīda-e-bīnā mire aage
har jaam hai nazzāra-e-kausar mire haq meñ
har gaam hai gulgasht-e-musallā mire aage
har phuul hai lāl-e-shakar-afshāñ kī hikāyat
har ġhuncha hai ik harf-e-tamannā mire aage
ik maz.haka hai pursish-e-uqbā mire nazdīk
ik vahm hai andesha-e-fardā mire aage
hoñ kitnī hī tārīk shab-e-zīst kī rāheñ
ik nuur sā rahtā hai jhalaktā mire aage
maiñ aur Darūñ saulat-e-duniyā-e-danī se
ḳhud larza-bar-andām hai duniyā mire aage
jhuktā hai ba-sad ijz kalīsā mire dar par
aatā hai laraztā huā kaaba mire aage
paimāne se jis vaqt chhalak jaatī hai sahbā
lahrātā hai ik husn kā dariyā mire aage
jab chāñd jhamaktā hai mire sāġhar-e-zar meñ
chaltā nahīñ ḳhurshīd kā daavā mire aage
jab jhuum ke miinā ko uThātā huuñ ghaTā meñ
hiltā hai sar-e-gumbad-e-mīnā mire aage
aatī hai dulhan ban ke mashiyyat kī jilau meñ
āvārgri-e-ādam-o-havvā mire aage
paimāne pe jis vaqt jhukātā huuñ surāhī
jhuktā hai sar-e-ālam-e-bālā mire aage
pahlū meñ hai ik zohra-jabīñ haath meñ sāġhar
is vaqt na duniyā hai na uqbā mire aage
'josh' uThtī hai dushman kī nazar jab mirī jānib
khultā hai mohabbat kā darīchā mire aage
sarshaar hun sarshaar hai duniya mere aage
kaunain hai ek larzish-e-sahba mere aage
har najm hai ek aariz-e-raushan mere nazdik
har zarra hai ek dida-e-bina mere aage
har jam hai nazzara-e-kausar mere haq mein
har gam hai gulgasht-e-musalla mere aage
har phul hai lal-e-shakar-afshan ki hikayat
har ghuncha hai ek harf-e-tamanna mere aage
ek mazhaka hai pursish-e-uqba mere nazdik
ek wahm hai andesha-e-farda mere aage
hon kitni hi tarik shab-e-zist ki rahen
ek nur sa rahta hai jhalakta mere aage
main aur Darun saulat-e-duniya-e-dani se
KHud larza-bar-andam hai duniya mere aage
jhukta hai ba-sad ijz kalisa mere dar par
aata hai larazta hua kaba mere aage
paimane se jis waqt chhalak jati hai sahba
lahraata hai ek husn ka dariya mere aage
jab chand jhamakta hai mere saghar-e-zar mein
chalta nahin KHurshid ka dawa mere aage
jab jhum ke mina ko uThata hun ghaTa mein
hilta hai sar-e-gumbad-e-mina mere aage
aati hai dulhan ban ke mashiyyat ki jilau mein
aawargri-e-adam-o-hawwa mere aage
paimane pe jis waqt jhukata hun surahi
jhukta hai sar-e-alam-e-baala mere aage
pahlu mein hai ek zohra-jabin hath mein saghar
is waqt na duniya hai na uqba mere aage
'josh' uThti hai dushman ki nazar jab meri jaanib
khulta hai mohabbat ka daricha mere aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.