sarson laga ke panw talak dil hua hun main
sarsoñ lagā ke paañv talak dil huā huuñ maiñ
yaañ lag hunar meñ ishq ke kāmil huā huuñ maiñ
sekūñ nigāh-e-garm siiñ ḳhush-chashm kī mujhe
shamshīr us bhuvāñ ke siiñ ghāyal huā huuñ maiñ
mānind-e-āsmāñ hai mushabbak mirā jigar
kis kī nigah siiñ aaj muqābil huā huuñ maiñ
bhārī hai dekhnā mirā tujh kan raqīb kuuñ
chhātī pe us kī aaj bajarsil huā huuñ maiñ
zulf-e-mutavval o dahan-e-muḳhtasar kuuñ dekh
tere daras ke ilm meñ fāzil huā huuñ maiñ
sarson laga ke panw talak dil hua hun main
yan lag hunar mein ishq ke kaamil hua hun main
sekun nigah-e-garm sin KHush-chashm ki mujhe
shamshir us bhuwan ke sin ghayal hua hun main
manind-e-asman hai mushabbak mera jigar
kis ki nigah sin aaj muqabil hua hun main
bhaari hai dekhna mera tujh kan raqib kun
chhati pe us ki aaj bajarsil hua hun main
zulf-e-mutawwal o dahan-e-muKHtasar kun dekh
tere daras ke ilm mein fazil hua hun main
- Book : Deewan-e-Aabro (Pg. 188)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.