Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sasti shohrat hasil karne kuchon mein chaubaron mein

Firoz Natiq Khusro

sasti shohrat hasil karne kuchon mein chaubaron mein

Firoz Natiq Khusro

MORE BYFiroz Natiq Khusro

    sastī shohrat hāsil karne kūchoñ meñ chaubāroñ meñ

    khoTe sikke uchhle uchhle phirte haiñ bāzāroñ meñ

    haiñ kuchh aise log jo apne paisoñ se chhapvāte haiñ

    auroñ ke kāñdhoñ pe chaḌh kar tasvīreñ aḳhbāroñ meñ

    bhūkī nañgī jantā kab tak peT Dhol bajā.egī

    bolo baabū kuchh to bolo kyā rakkhā hai na.aroñ meñ

    bahtā paanī phuul kañval ke saath bahā le aatā hai

    amn aashā naav banī hai dariyāoñ ke dhāroñ meñ

    'ḳhusrav' ik aaseb ke Dar se ghar ghar sab kiil diyā

    phir bhī ik aaseb hai zinda jism in dīvāroñ meñ

    sasti shohrat hasil karne kuchon mein chaubaron mein

    khoTe sikke uchhle uchhle phirte hain bazaron mein

    hain kuchh aise log jo apne paison se chhapwate hain

    auron ke kandhon pe chaDh kar taswiren aKHbaron mein

    bhuki nangi janta kab tak peT ka Dhol bajaegi

    bolo babu kuchh to bolo kya rakkha hai naron mein

    bahta pani phul kanwal ke sath baha le aata hai

    amn ki aasha naw bani hai dariyaon ke dhaaron mein

    'KHusraw' ek aaseb ke Dar se ghar ka ghar sab kil diya

    phir bhi ek aaseb hai zinda jism ki in diwaron mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now