sau hath uThe karb ki KHushbu ko churane
sau haath uThe karb kī ḳhushbū ko churāne
kyā zaḳhm lagā.e haiñ mire tan pe havā ne
raste meñ koī peḌ jo mil jaa.e to baiThūñ
vo baar uThāyā hai ki dikhne lage shāne
āñkhoñ meñ basī thī tire chehre kī tamāzat
chalne na diyā raah meñ zanjīr-e-sadā ne
chehre the ki marqad kī tarah nauha-ba-lab the
kyā kyā na rulāyā mujhe mānūs fazā ne
naġhmoñ ke ta.āqub meñ na jaao ki abhī tak
insāñ ko mayassar hī nahīñ hoñT hilāne
kyuuñ itne pareshān ho unvāñ kī talab meñ
kirdār mukammal ho to bante haiñ fasāne
āñkhoñ ke jharokoñ se kise DhūñD rahe ho
har naqsh miTā Daalā hai sahrā kī havā ne
duniyā meñ yahī soch ke zinda huuñ maiñ 'afzal'
ehsās to baḳhshā hai mujhe mere ḳhudā ne
sau hath uThe karb ki KHushbu ko churane
kya zaKHm lagae hain mere tan pe hawa ne
raste mein koi peD jo mil jae to baiThun
wo bar uThaya hai ki dikhne lage shane
aankhon mein basi thi tere chehre ki tamazat
chalne na diya rah mein zanjir-e-sada ne
chehre the ki marqad ki tarah nauha-ba-lab the
kya kya na rulaya mujhe manus faza ne
naghmon ke taaqub mein na jao ki abhi tak
insan ko mayassar hi nahin honT hilane
kyun itne pareshan ho unwan ki talab mein
kirdar mukammal ho to bante hain fasane
aankhon ke jharokon se kise DhunD rahe ho
har naqsh miTa Dala hai sahra ki hawa ne
duniya mein yahi soch ke zinda hun main 'afzal'
ehsas to baKHsha hai mujhe mere KHuda ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.