sau hasraten to aain gaya ek dil gaya
sau hasrateñ to aa.iiñ gayā ek dil gayā
milnā thā jo mujhe mirī qismat kā mil gayā
us ne liyā jo aa.ine meñ bosa apnā aap
allah re nāzukī lab-e-gulfām chhil gayā
allah re jāma-zeb tirī jāma-zebīyāñ
pahnā jo tū ne rang vahī rang khil gayā
jannat isī kā naam agar hai to bas salām
mahfil meñ terī jo koī aaya ḳhajil gayā
maiñ ne to apne vāste kī thī duā-e-vasl
ulTā asar huā vo raqīboñ se mil gayā
hastī meñ haiñ adam ke maze āshiqoñ ko 'dāġh'
qālib meñ jaan aate hī pahlū se dil gayā
sau hasraten to aain gaya ek dil gaya
milna tha jo mujhe meri qismat ka mil gaya
us ne liya jo aaine mein bosa apna aap
allah re nazuki lab-e-gulfam chhil gaya
allah re jama-zeb teri jama-zebiyan
pahna jo tu ne rang wahi rang khil gaya
jannat isi ka nam agar hai to bas salam
mahfil mein teri jo koi aaya KHajil gaya
main ne to apne waste ki thi dua-e-wasl
ulTa asar hua wo raqibon se mil gaya
hasti mein hain adam ke maze aashiqon ko 'dagh'
qalib mein jaan aate hi pahlu se dil gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.