sau raha tha to shor barpa tha
sau rahā thā to shor barpā thā
uTh ke dekhā to maiñ akelā thā
ḳhaak par mere ḳhvāb bikhre the
aur maiñ reza reza chuntā thā
chaar jānib vajūd kī dīvār
apnī āvāz maiñ hī suntā thā
umr bhar buuñd buuñd ko tarse
sāmne ghar ke ek dariyā thā
lab-e-dariyā khaḌe rahe donoñ
vo bhī pyāsā thā maiñ bhī pyāsā thā
sau raha tha to shor barpa tha
uTh ke dekha to main akela tha
KHak par mere KHwab bikhre the
aur main reza reza chunta tha
chaar jaanib wajud ki diwar
apni aawaz main hi sunta tha
umr bhar bund bund ko tarse
samne ghar ke ek dariya tha
lab-e-dariya khaDe rahe donon
wo bhi pyasa tha main bhi pyasa tha
- Book : Junoon (Pg. 200)
- Author : Naseem Muqri
- Publication : Naseem Muqri (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.