sauda-e-ishq ke to KHata-war hum nahin
saudā-e-ishq ke to ḳhatā-vār ham nahīñ
haiñ ishq ke marīz gunahgār ham nahīñ
ham jo khaTak rahe the tumhārī nigāh meñ
lo ab tumhārī raah meñ dīvār ham nahīñ
us kī ḳhushī ke vāste ḳhud ko fanā kiyā
phir bhī vo kah rahā hai vafādār ham nahīñ
dil meñ hamāre ek talātum sā hai bapā
ḳhāmosh haiñ ki zīnat-e-aḳhbār ham nahīñ
tanhā.iyoñ kī ham ne hī duniyā basā.ī hai
goshe meñ ḳhud ke haiñ sar-e-bāzār ham nahīñ
sahrā ke gard-o-garm hī ab raas aa ga.e
'sīmā' kisī chaman ke ravādār ham nahīñ
sauda-e-ishq ke to KHata-war hum nahin
hain ishq ke mariz gunahgar hum nahin
hum jo khaTak rahe the tumhaari nigah mein
lo ab tumhaari rah mein diwar hum nahin
us ki KHushi ke waste KHud ko fana kiya
phir bhi wo kah raha hai wafadar hum nahin
dil mein hamare ek talatum sa hai bapa
KHamosh hain ki zinat-e-aKHbar hum nahin
tanhaiyon ki hum ne hi duniya basai hai
goshe mein KHud ke hain sar-e-bazar hum nahin
sahra ke gard-o-garm hi ab ras aa gae
'sima' kisi chaman ke rawadar hum nahin
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 670)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.