sauda hua hai jis ko ruKH-e-zulf-e-yar ka
sauda hua hai jis ko ruKH-e-zulf-e-yar ka
Syed Masood Hasan Masood
MORE BYSyed Masood Hasan Masood
saudā huā hai jis ko ruḳh-e-zulf-e-yār kā
kyā ḳhauf us ko gardish-e-lail-o-nahār kā
kyā pūchhte ho haal dil-e-be-qarār kā
dhaḌkā lagā huā hai ġham-e-rozgār kā
phir dekhiye na ek bhī va.ada vafā huā
phir e'tibār kuchh na rahā e'tibār kā
niyyat kisī kī mā.il-e-jaur-o-jafā to ho
ghaT jaa.e tuul abhī sitam-e-rozgār kā
ai barq-e-tūr kab kī thī muusā se dushmanī
dikhlā diyā jo rang dil-e-be-qarār kā
phir aagyā hai jaur kā shāyad unheñ ḳhayāl
phir baḌh chalā hai zulm-o-sitam rozgār kā
piirī meñ bhī shabāb kī bāteñ zarūr hoñ
hāsil ho lutf kuchh to ḳhizāñ meñ bahār kā
'mas.ūd' naaz unheñ hai darāzī-e-zulf par
dekhā nahīñ hai tuul shab-e-intizār kā
sauda hua hai jis ko ruKH-e-zulf-e-yar ka
kya KHauf us ko gardish-e-lail-o-nahaar ka
kya puchhte ho haal dil-e-be-qarar ka
dhaDka laga hua hai gham-e-rozgar ka
phir dekhiye na ek bhi wada wafa hua
phir e'tibar kuchh na raha e'tibar ka
niyyat kisi ki mail-e-jaur-o-jafa to ho
ghaT jae tul abhi sitam-e-rozgar ka
ai barq-e-tur kab ki thi musa se dushmani
dikhla diya jo rang dil-e-be-qarar ka
phir aagya hai jaur ka shayad unhen KHayal
phir baDh chala hai zulm-o-sitam rozgar ka
piri mein bhi shabab ki baaten zarur hon
hasil ho lutf kuchh to KHizan mein bahaar ka
'masud' naz unhen hai daraazi-e-zulf par
dekha nahin hai tul shab-e-intizar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.