sawa neze pe aaftab aaya
savā neze pe āftāb aayā
jaltī duniyā ko ye javāb aayā
merā sajda yā merī manzil-e-shauq
pūchh to kaun kāmyāb aayā
lafz ke lafz jaise saa.e hoñ
kaise ma.anī kā inqalāb aayā
haa.e us ek abr kī qismat
jis ke saa.e meñ āftāb aayā
'mīr' hoñ yā 'zahīr' hoñ ki 'kabīr'
sab kī qismat meñ ek ḳhvāb aayā
sawa neze pe aaftab aaya
jalti duniya ko ye jawab aaya
mera sajda ya meri manzil-e-shauq
puchh to kaun kaamyab aaya
lafz ke lafz jaise sae hon
kaise mani ka inqalab aaya
hae us ek abr ki qismat
jis ke sae mein aaftab aaya
'mir' hon ya 'zahir' hon ki 'kabir'
sab ki qismat mein ek KHwab aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.