sawab ki duaon ne gunah kar diya mujhe
savāb kī duāoñ ne gunāh kar diyā mujhe
baḌī adā se vaqt ne tabāh kar diyā mujhe
munāfiqat ke shahr meñ sazā.eñ harf ko milīñ
qalam kī raushnā.ī ne siyāh kar diyā mujhe
mire liye har ik nazar malāmatoñ meñ Dhal ga.ī
na kuchh kiyā to hairat-e-nigāh kar diyā mujhe
ḳhushī jo ġham se mil ga.ī to phuul aag ho ga.e
junūn-e-bandagī ne ḳhud-nigāh kar diyā mujhe
tamām aks toḌ ke mirā savāl baañT ke
ik aa.ine ke shahr kī sipāh kar diyā mujhe
baḌā karam huzūr kā sunā gayā na haal bhī
samā.atoñ meñ dafn ek aah kar diyā mujhe
sawab ki duaon ne gunah kar diya mujhe
baDi ada se waqt ne tabah kar diya mujhe
munafiqat ke shahr mein sazaen harf ko milin
qalam ki raushnai ne siyah kar diya mujhe
mere liye har ek nazar malamaton mein Dhal gai
na kuchh kiya to hairat-e-nigah kar diya mujhe
KHushi jo gham se mil gai to phul aag ho gae
junun-e-bandagi ne KHud-nigah kar diya mujhe
tamam aks toD ke mera sawal banT ke
ek aaine ke shahr ki sipah kar diya mujhe
baDa karam huzur ka suna gaya na haal bhi
samaaton mein dafn ek aah kar diya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.