Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sawal ab bhi wahi hai janab kaise hua

Jyoti Azad Khatri

sawal ab bhi wahi hai janab kaise hua

Jyoti Azad Khatri

MORE BYJyoti Azad Khatri

    savāl ab bhī vahī hai janāb kaise huā

    kisī ḳhushbū se behtar gulāb kaise huā

    tamām raat maiñ ḳhud se savāl kartī rahī

    jise chhuā ho haqīqat meñ ḳhvāb kaise huā

    abhī baqāyā hai ik qist muskurāhaT

    abhī ġhamoñ barābar hisāb kaise huā

    chalo ye maan liyā ham to jānte na the

    tumheñ to saarā patā thā sarāb kaise huā

    mirī samajh meñ abhī tak ye raaz aa na sakā

    bujhā charāġh bhalā āftāb kaise huā

    maza to jab thā ke rahte tumhāre dil meñ bhī

    nazar meñ rahnā faqat intiḳhāb kaise huā

    sawal ab bhi wahi hai janab kaise hua

    kisi ki KHushbu se behtar gulab kaise hua

    tamam raat main KHud se sawal karti rahi

    jise chhua ho haqiqat mein KHwab kaise hua

    abhi baqaya hai ek qist muskurahaT ki

    abhi ghamon ka barabar hisab kaise hua

    chalo ye man liya hum to jaante hi na the

    tumhein to sara pata tha sarab kaise hua

    meri samajh mein abhi tak ye raaz aa na saka

    bujha charagh bhala aaftab kaise hua

    maza to jab tha ke rahte tumhaare dil mein bhi

    nazar mein rahna faqat intiKHab kaise hua

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now