sawal puchhe hain shab ne jawab le aao
sawal puchhe hain shab ne jawab le aao
Saeed-ul-Zafar Chughtai
MORE BYSaeed-ul-Zafar Chughtai
savāl pūchhe haiñ shab ne javāb le aao
na.ī sahar ke liye āftāb le aao
na raat hai na ḳhayālāt-e-shab na ḳhvāb-e-sahar
jo din kī jot jagā deñ vo ḳhvāb le aao
burā nahīñ hai jo likh jaa.eñ ab bhī chand varaq
jo aaj tak hai adhūrī kitāb le aao
naqāb ulaTtī hai chehre se roz taaza sahar
nigāh meñ bhī koī inqalāb le aao
bahār aa.egī gulshan meñ sair-e-gul hogī
nazar meñ fikr meñ dil meñ shabāb le aao
sawal puchhe hain shab ne jawab le aao
nai sahar ke liye aaftab le aao
na raat hai na KHayalat-e-shab na KHwab-e-sahar
jo din ki jot jaga den wo KHwab le aao
bura nahin hai jo likh jaen ab bhi chand waraq
jo aaj tak hai adhuri kitab le aao
naqab ulaTti hai chehre se roz taza sahar
nigah mein bhi koi inqalab le aao
bahaar aaegi gulshan mein sair-e-gul hogi
nazar mein fikr mein dil mein shabab le aao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.