sawar-e-waqt hai wo faslon se aage hai
savār-e-vaqt hai vo fāsloñ se aage hai
vo jañgaloñ se pare pāniyoñ se aage hai
hamāre zer-e-nagīñ sirf shahr-e-ishq nahīñ
hamārā hukm ka.ī sarhadoñ se aage hai
tirā ḳhayāl mire dil meñ kaise ghar kartā
tirā ḳhayāl mirī vahshatoñ se aage hai
bajā ki sher mirā zā.iqe meñ hai tīkhā
ye kaif-zā hai nire qāfiyoñ se aage hai
sawar-e-waqt hai wo faslon se aage hai
wo jangalon se pare paniyon se aage hai
hamare zer-e-nagin sirf shahr-e-ishq nahin
hamara hukm kai sarhadon se aage hai
tera KHayal mere dil mein kaise ghar karta
tera KHayal meri wahshaton se aage hai
baja ki sher mera zaiqe mein hai tikha
ye kaif-za hai nire qafiyon se aage hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.