sawari
zamāna badlā to iblīs ko malāl huā
milā jo mauqa to bhagvān se savāl huā
ki ab to aadmī chaltā hai rail par bas par
havā meñ le ke jahāz uḌ rahā hai far-far far
maiñ aadmī kā ta.āqub bhalā karūñ kaise
maiñ rāt-din yuuñ hī paidal chalā karūñ kaise
nidā falak se ye aa.ī ki tū malāl na kar
kisī bhī haal meñ bebas hai ye ḳhayāl na kar
hai ek gaaḌī tracktor jo sab pe bhārī hai
ba-taur-e-ḳhās ye shaitān kī savārī hai
zamana badla to iblis ko malal hua
mila jo mauqa to bhagwan se sawal hua
ki ab to aadmi chalta hai rail par bas par
hawa mein le ke jahaz uD raha hai far-far far
main aadmi ka taaqub bhala karun kaise
main raat-din yun hi paidal chala karun kaise
nida falak se ye aai ki tu malal na kar
kisi bhi haal mein bebas hai ye KHayal na kar
hai ek gaDi tracktor jo sab pe bhaari hai
ba-taur-e-KHas ye shaitan ki sawari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.