aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apna pata mujhe bata bahr-e-KHuda tu kaun hai

Yasin Ali Khan Markaz

apna pata mujhe bata bahr-e-KHuda tu kaun hai

Yasin Ali Khan Markaz

MORE BYYasin Ali Khan Markaz

    apnā pata mujhe batā bahr-e-ḳhudā kaun hai

    tujh pe haiñ saare mubtalā bahr-e-ḳhudā kaun hai

    nām-e-ḳhudā sunā kiyā tere sivā nahīñ milā

    saarī sifat se hai bharā bahr-e-ḳhudā kaun hai

    terā hasad to naam thā ho gayā banda kis tarah

    terī zaat hai baqā bahr-e-ḳhudā kaun hai

    tere se hast kul huī thī adam meñ be-nishāñ

    haadī muzil hai barmalā bahr-e-ḳhudā kaun hai

    mālik-e-do-jahāñ hai chāhe jise atā kare

    kar de gadā ko bādshā bahr-e-ḳhudā kaun hai

    tere karam se ai shahā maiñ ne ḳhudā-numā huā

    thā fanā baqā milā bahr-e-ḳhudā kaun hai

    'markaz'-e-jumla-kā.enāt maz.har-e-zāt-e-kibriyā

    tere sivā nahīñ huā bahr-e-ḳhudā kaun hai

    apna pata mujhe bata bahr-e-KHuda tu kaun hai

    tujh pe hain sare mubtala bahr-e-KHuda tu kaun hai

    nam-e-KHuda suna kiya tere siwa nahin mila

    sari sifat se hai bhara bahr-e-KHuda tu kaun hai

    tera hasad to nam tha ho gaya banda kis tarah

    teri hi zat hai baqa bahr-e-KHuda tu kaun hai

    tere se hast kul hui thi tu adam mein be-nishan

    hadi muzil hai barmala bahr-e-KHuda tu kaun hai

    malik-e-do-jahan hai tu chahe jise ata kare

    kar de gada ko baadsha bahr-e-KHuda tu kaun hai

    tere karam se ai shaha main ne KHuda-numa hua

    tha tu fana baqa mila bahr-e-KHuda tu kaun hai

    'markaz'-e-jumla-kaenat mazhar-e-zat-e-kibriya

    tere siwa nahin hua bahr-e-KHuda tu kaun hai

    Source:

    Dewan-e-Markaz (Pg. B-69 E-68)

    • Author: Yasin Ali Khan Markaz
      • Edition: 1926
      • Publisher: Chishtiya Press Chhatta Bazar
      • Year of Publication: 1926
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now