Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud ko kisi ki rahguzar kis liye karen

Athar Nasik

KHud ko kisi ki rahguzar kis liye karen

Athar Nasik

MORE BYAthar Nasik

    ḳhud ko kisī rāhguzar kis liye kareñ

    ham-safar nahīñ to safar kis liye kareñ

    jab ne nigāh meñ rakkhā nahīñ hameñ

    ab aur kisī ruuh meñ ghar kis liye kareñ

    kyuuñ chhoḌ deñ na shaam se pahle terā shahr

    tujh se bichhaḌ ke raat basar kis liye kareñ

    mansūb-e-jāñ ho aur koī paikar-e-jamāl

    kar sakte haiñ ye kaam magar kis liye kareñ

    kis ke liye charāġh jalā.eñ tamām raat

    'nāsik' phir ehtimām-e-sahar kis liye kareñ

    KHud ko kisi ki rahguzar kis liye karen

    tu ham-safar nahin to safar kis liye karen

    jab tu ne hi nigah mein rakkha nahin hamein

    ab aur kisi ki ruh mein ghar kis liye karen

    kyun chhoD den na sham se pahle hi tera shahr

    tujh se bichhaD ke raat basar kis liye karen

    mansub-e-jaan ho aur koi paikar-e-jamal

    kar sakte hain ye kaam magar kis liye karen

    kis ke liye charagh jalaen tamam raat

    'nasik' phir ehtimam-e-sahar kis liye karen

    Source :
    • Book : Adab-o-Saqafat International (Pg. 63)
    • Author : Shakeelsarosh
    • Publication : Misal Publishers Raheem Center Press Market Ameen Pur Bazar, Faisalbad, Pakistan

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now