sayyaad bata to sahi is jal mein kya hai
sayyād batā to sahī is jaal meñ kyā hai
gar dil nahīñ merā to tire baal meñ kyā hai
vaise to ḳhud is chāñd kā qaa.il huuñ maiñ lekin
ik raushnī ko chhoḌ kar is thaal meñ kyā hai
majnūñ hī batā saktā hai lailā kī fazīlat
yā sohnī se pūchh ki mahivāl meñ kyā hai
maiñ hashr ke maidān meñ kah dūñgā mohabbat
pūchhegā ḳhudā jab tire a.amāl meñ kyā hai
jī kartā hai un ko tirī tasvīr dikhā duuñ
jo pūchhte haiñ mujh se ki bañgāl meñ kyā hai
allāh banā de mire ashkoñ ko kabūtar
sab pūchh rahe haiñ tire rūmāl meñ kyā hai
sayyaad bata to sahi is jal mein kya hai
gar dil nahin mera to tere baal mein kya hai
waise to KHud is chand ka qail hun main lekin
ek raushni ko chhoD kar is thaal mein kya hai
majnun hi bata sakta hai laila ki fazilat
ya sohni se puchh ki mahiwal mein kya hai
main hashr ke maidan mein kah dunga mohabbat
puchhega KHuda jab tere aamal mein kya hai
ji karta hai un ko teri taswir dikha dun
jo puchhte hain mujh se ki bangal mein kya hai
allah bana de mere ashkon ko kabutar
sab puchh rahe hain tere rumal mein kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.