saza hi baad is ke kya milegi zindagi mein
sazā hī baad is ke kyā milegī zindagī meñ
mirī hī zindagī merī nahīñ thī zindagī meñ
tū avval hai yahāñ aisā nahīñ hai ai musāfir
ka.ī guzre haiñ rāh-e-dil se merī zindagī meñ
bichhaḌ kar ho gayā hai tīsrā ab saal ham ko
so ye bhī jhuuT thā bas chaar din hī zindagī meñ
dhaḌaktī hai tū ab bhī siina meñ jaañ dil kī sūrat
to vo shai kyā thī jo har baar TuuTī zindagī meñ
use kahnā ki ab bhī maiñ nahīñ rahtā huuñ tanhā
udāsī naam kī hai ek laḌkī zindagī meñ
saza hi baad is ke kya milegi zindagi mein
meri hi zindagi meri nahin thi zindagi mein
tu awwal hai yahan aisa nahin hai ai musafir
kai guzre hain rah-e-dil se meri zindagi mein
bichhaD kar ho gaya hai tisra ab sal hum ko
so ye bhi jhuT tha bas chaar din hi zindagi mein
dhaDakti hai tu ab bhi sina mein jaan dil ki surat
to wo shai kya thi jo har bar TuTi zindagi mein
use kahna ki ab bhi main nahin rahta hun tanha
udasi nam ki hai ek laDki zindagi mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.