shad-bash ai justuju
shād-bāsh ai justujū
ye hai manzil rū-barū
'ishq masrūf-e-fuġhāñ
husn vaqf-e-hāo-hū
chashm-e-altāf-o-karam
dāman-e-dil kā rafū
phir haiñ raqsāñ gardisheñ
laao phir jām-o-subū
rang lā kar hī rahā
ārzūoñ kā lahū
ham-nafas kyā dekh kar
uḌ gayā rang-e-adū
gul khile vaqt-e-namāz
os thī bahr-e-vuzū
haiñ malā.ik dam-ba-ḳhud
jaan kar merā ‘ulū
vaj.h-e-taḳhrīb-e-milal
imtiyāz-e-mā-o-tū
laġhzish-e-mastāna thī
zindagī kī har numū
haal 'alvī' kyā kahe
zāt-e-be-parvā hai tū
shad-bash ai justuju
ye hai manzil ru-baru
'ishq masruf-e-fughan
husn waqf-e-hao-hu
chashm-e-altaf-o-karam
daman-e-dil ka rafu
phir hain raqsan gardishen
lao phir jam-o-subu
rang la kar hi raha
aarzuon ka lahu
ham-nafas kya dekh kar
uD gaya rang-e-adu
gul khile waqt-e-namaz
os thi bahr-e-wuzu
hain malaik dam-ba-KHud
jaan kar mera ‘ulu
wajh-e-taKHrib-e-milal
imtiyaz-e-ma-o-tu
laghzish-e-mastana thi
zindagi ki har numu
haal 'alwi' kya kahe
zat-e-be-parwa hai tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.