shadab shaKH-e-dard ki har por kyun nahin
shādāb shāḳh-e-dard kī har por kyuuñ nahīñ
har barg ik zabāñ hai to phir shor kyuuñ nahīñ
vārasta-e-azāb-e-tamāshā hai chashm-e-barg
ai āgahī nigāh mirī kor kyuuñ nahīñ
dast-e-savāl-e-barg hai shabnam se kyuuñ tahī
jo bādaloñ ko luuT le vo zor kyuuñ nahīñ
ziist ek barg-e-tishna hai vo abr kyā hue
ab un kī koī raah mirī or kyuuñ nahīñ
ye sho.ala ek barg-e-ḳhizāñ hai ki barg-e-gul
āñkhoñ meñ terī shaam hai kyuuñ bhor kyuuñ nahīñ
shadab shaKH-e-dard ki har por kyun nahin
har barg ek zaban hai to phir shor kyun nahin
warasta-e-azab-e-tamasha hai chashm-e-barg
ai aagahi nigah meri kor kyun nahin
dast-e-sawal-e-barg hai shabnam se kyun tahi
jo baadalon ko luT le wo zor kyun nahin
zist ek barg-e-tishna hai wo abr kya hue
ab un ki koi rah meri or kyun nahin
ye shoala ek barg-e-KHizan hai ki barg-e-gul
aankhon mein teri sham hai kyun bhor kyun nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.