shadman shad-kaam dil to nahin
shādmāñ shād-kām dil to nahīñ
aap se ham-kalām dil to nahīñ
terī āñkhoñ kā naam āñkheñ haiñ
terī āñkhoñ kā naam dil to nahīñ
ik dhamā-chaukḌī hai siine meñ
ye kahīñ be-lagām dil to nahīñ
zindagī aur dil barābar haiñ
zindagī kā ġhulām dil to nahīñ
dil koī aur chiiz hai 'ikrām'
sirf dil hī kā naam dil to nahīñ
shadman shad-kaam dil to nahin
aap se ham-kalam dil to nahin
teri aankhon ka nam aankhen hain
teri aankhon ka nam dil to nahin
ek dhama-chaukDi hai sine mein
ye kahin be-lagam dil to nahin
zindagi aur dil barabar hain
zindagi ka ghulam dil to nahin
dil koi aur chiz hai 'ikram'
sirf dil hi ka nam dil to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.