shadmani ka kabhi gham ka kabhi josh raha
shādmānī kā kabhī ġham kā kabhī josh rahā
ek saudā rahā jab tak ki mujhe hosh rahā
juz tirī yaad ke sab dil se farāmosh rahā
marte marte dīvāne ko ye hosh rahā
ruḳh-e-pur-nūr se bas un kā ulaTnā thā naqāb
kaun kambaḳht thā aisā ki jise hosh rahā
ye bhī ehsāñ hai jo us ne na diyā koī javāb
shauq-e-ummīd kā haamī lab-e-ḳhāmosh rahā
be-dhaḌak sāmne mahshar kī vo aana terā
dekh lenā jo kisī ek ko bhī hosh rahā
kis se fariyād-e-sitam karte milā jab ki na tū
tū milā jab to sitam terā farāmosh rahā
rāz-e-sar-basta-e-mai-ḳhāna na khulne paayā
āshnā-e-lab-e-sāġhar lab-e-mai-nosh rahā
dard rah rah ke mire dil meñ uThā kartā hai
terā ehsāñ ki tujhe maiñ na farāmosh rahā
bār-e-ehsāñ hai mire sar pe tirā o qātil
sar judā hone pe bhī maiñ na subuk-dosh rahā
dard uThte hī taḌapne lagānā mahram-e-rāz
jo adā se tirī vāqif thā vo ḳhāmosh rahā
kyā kahūñ maut ne kis raaz kī dī aa ke ḳhabar
baat hī kuchh thī vo aisī ki maiñ ḳhāmosh rahā
jaan 'betāb' kī āḳhir shab-e-tanhā.ī ne lī
tū kahāñ shaam se o va.ada-farāmosh rahā
shadmani ka kabhi gham ka kabhi josh raha
ek sauda raha jab tak ki mujhe hosh raha
juz teri yaad ke sab dil se faramosh raha
marte marte diwane ko ye hosh raha
ruKH-e-pur-nur se bas un ka ulaTna tha naqab
kaun kambaKHt tha aisa ki jise hosh raha
ye bhi ehsan hai jo us ne na diya koi jawab
shauq-e-ummid ka hami lab-e-KHamosh raha
be-dhaDak samne mahshar ki wo aana tera
dekh lena jo kisi ek ko bhi hosh raha
kis se fariyaad-e-sitam karte mila jab ki na tu
tu mila jab to sitam tera faramosh raha
raaz-e-sar-basta-e-mai-KHana na khulne paya
aashna-e-lab-e-saghar lab-e-mai-nosh raha
dard rah rah ke mere dil mein uTha karta hai
tera ehsan ki tujhe main na faramosh raha
bar-e-ehsan hai mere sar pe tera o qatil
sar juda hone pe bhi main na subuk-dosh raha
dard uThte hi taDapne lagana mahram-e-raaz
jo ada se teri waqif tha wo KHamosh raha
kya kahun maut ne kis raaz ki di aa ke KHabar
baat hi kuchh thi wo aisi ki main KHamosh raha
jaan 'betab' ki aaKHir shab-e-tanhai ne li
tu kahan sham se o wada-faramosh raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.