shair bane hain doctor jo doctor na the
shā.ir bane haiñ doctor jo doctor na the
manzil unheñ milī jo sharīk-e-safar na the
gesū-e-yār pahle to yuuñ muḳhtasar na the
fashion hī kuchh tavīl thā yā barber na the
aa.e mirī lahad pe vo ġhairoñ kī kaar meñ
āñchal tamām ḳhushk thā ruḳhsār tar na the
ḳhāna-ba-dosh agar rahā majnūñ to kyā huā
ye vo zamāna thā kahīñ sahrā meñ ghar na the
us vaqt bhī pahuñchtī thī ghar ghar meñ har ḳhabar
jis vaqt radio na thā ye tār-ghar na the
surḳhāb ke the par lage gul kī kulāh meñ
bulbul kā us meñ ḳhuun thā bulbul ke par na the
shair bane hain doctor jo doctor na the
manzil unhen mili jo sharik-e-safar na the
gesu-e-yar pahle to yun muKHtasar na the
fashion hi kuchh tawil tha ya barber na the
aae meri lahad pe wo ghairon ki kar mein
aanchal tamam KHushk tha ruKHsar tar na the
KHana-ba-dosh agar raha majnun to kya hua
ye wo zamana tha kahin sahra mein ghar na the
us waqt bhi pahunchti thi ghar ghar mein har KHabar
jis waqt radio na tha ye tar-ghar na the
surKHab ke the par lage gul ki kulah mein
bulbul ka us mein KHun tha bulbul ke par na the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.