shair-e-rangin fasana ho gaya
shā.ir-e-rañgīñ fasāna ho gayā
sher bulbul kā tarāna ho gayā
is qadar naqshe utāre yaar ne
ye jahāñ tasvīr-kHāna ho gayā
vo chaman kī yaad ne muztar kyā
zahr mujh ko āb-o-dāna ho gayā
aañkh se Tapkī jo aañsū kī laḌī
qāfila ġham kā ravāna ho gayā
jaan lene aa.e the 'shā.ir' vahī
maut kā to ik bahāna ho gayā
shair-e-rangin fasana ho gaya
sher bulbul ka tarana ho gaya
is qadar naqshe utare yar ne
ye jahan taswir-kHana ho gaya
wo chaman ki yaad ne muztar kya
zahr mujh ko aab-o-dana ho gaya
aankh se Tapki jo aansu ki laDi
qafila gham ka rawana ho gaya
jaan lene aae the 'shair' wahi
maut ka to ek bahana ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.