shairi hasil-e-diwangi-e-dil to nahin
shā.irī hāsil-e-dīvāngī-e-dil to nahīñ
narm halqe tirī zulfoñ ke salāsil to nahīñ
qaus-e-abrū ḳham-e-gesū shikan-e-peshānī
aaj bhī ishq ke pechīda masā.il to nahīñ
ik jhalak duur se dikhlā ke vo chhup jaate haiñ
sañg-e-mīl aa.e haiñ kuchh raah meñ manzil to nahīñ
tez-rau chāñd ghaTāoñ meñ tah-o-bālā hai
muztarib koī safīna pa.e sāhil to nahīñ
tishnagī meñ nazar aate haiñ sarāb-e-sahrā
har nazar par ye gumāñ hai koī maa.il to nahīñ
fāsle tai na hue rā-navardī ke baġhair
gāmzan jānib-e-rahrav koī manzil to nahīñ
kyuuñ na ġhāfil ho farā.ez se zamāna 'mānī'
kam yahāñ vaqt guzārī ke mashāġhil to nahīñ
shairi hasil-e-diwangi-e-dil to nahin
narm halqe teri zulfon ke salasil to nahin
qaus-e-abru KHam-e-gesu shikan-e-peshani
aaj bhi ishq ke pechida masail to nahin
ek jhalak dur se dikhla ke wo chhup jate hain
sang-e-mil aae hain kuchh rah mein manzil to nahin
tez-rau chand ghaTaon mein tah-o-baala hai
muztarib koi safina pae sahil to nahin
tishnagi mein nazar aate hain sarab-e-sahra
har nazar par ye guman hai koi mail to nahin
fasle tai na hue ra-nawardi ke baghair
gamzan jaanib-e-rahraw koi manzil to nahin
kyun na ghafil ho faraez se zamana 'mani'
kam yahan waqt guzari ke mashaghil to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.