shairi meri gham-e-ishq ki tafsir bhi hai
shā.irī merī ġham-e-ishq kī tafsīr bhī hai
ramish-o-rañg ke lamhāt kī tasvīr bhī hai
muzhda-e-amn bhī hai merī navā-e-hastī
vaqt ke haath meñ chaltī huī shamshīr bhī hai
saaz uThātā huuñ magar yaad rahe ahl-e-nishāt
saaz kī lai meñ nihāñ soz kī tāsīr bhī hai
zindagī ḳhvāb sahī ḳhvāb-e-pareshāñ hī sahī
dil ye kahtā hai yahī ḳhvāb kī ta.abīr bhī hai
nā-shunīda se jo ab tak mire naġhme haiñ 'jamāl'
kuchh zamāne kī ḳhatā kuchh mirī taqsīr bhī hai
shairi meri gham-e-ishq ki tafsir bhi hai
ramish-o-rang ke lamhat ki taswir bhi hai
muzhda-e-amn bhi hai meri nawa-e-hasti
waqt ke hath mein chalti hui shamshir bhi hai
saz uThata hun magar yaad rahe ahl-e-nishat
saz ki lai mein nihan soz ki tasir bhi hai
zindagi KHwab sahi KHwab-e-pareshan hi sahi
dil ye kahta hai yahi KHwab ki tabir bhi hai
na-shunida se jo ab tak mere naghme hain 'jamal'
kuchh zamane ki KHata kuchh meri taqsir bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.