shaKH par KHun-e-gul rawan hai wahi
shāḳh par ḳhūn-e-gul ravāñ hai vahī
shoḳhī-e-rañg-e-gulsitāñ hai vahī
sar vahī hai to āstāñ hai vahī
jaañ vahī hai to jān-e-jāñ hai vahī
ab jahāñ mehrbāñ nahīñ koī
kūcha-e-yār mehrbāñ hai vahī
barq sau baar gir ke ḳhaak huī
raunaq-e-ḳhāk-e-āshiyāñ hai vahī
aaj kī shab visāl kī shab hai
dil se har roz dāstāñ hai vahī
chāñd taare idhar nahīñ aate
varna zindāñ meñ āsmāñ hai vahī
shaKH par KHun-e-gul rawan hai wahi
shoKHi-e-rang-e-gulsitan hai wahi
sar wahi hai to aastan hai wahi
jaan wahi hai to jaan-e-jaan hai wahi
ab jahan mehrban nahin koi
kucha-e-yar mehrban hai wahi
barq sau bar gir ke KHak hui
raunaq-e-KHak-e-ashiyan hai wahi
aaj ki shab visal ki shab hai
dil se har roz dastan hai wahi
chand tare idhar nahin aate
warna zindan mein aasman hai wahi
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 257)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.